Amit Malhotra
2006-09-04 23:22:43 UTC
mehfil-e-ALUP ko mera namaskaar,
meri pichhli ghazal yahaaN se chup-chaap sar jhukaaye hue nikal gayi :)
to maiN ne socha k shaayad meri halki-phulki shaayari pe aap log kuchh
bhi kahne se katraate haiN. aji, agar aur kuchh nahiiN to itna hi
sahii.. k bhai Amit miyaaN, apne kalaam meiN kuchh afkaar le aao :-P
:-)
ba-har-haal, ek taaza nazm le kar haazir hua houN, aap sab se guzaarish
hai k tanqeed-o-tabsira karne se na ghabraayeiN, agar kisii kaam ki
nahiiN hai, to itna hi bataa dijiyega, aur agar kahiiN ghalti rah gayi
hai to us par bhi ishaara kar dijiyega taki maiN use durust kar louN.
unvaan hai:
Iztiraab
aaj phir raat tirii yaad se bojhal guzri
aaj phir chaaNd mire haal pe Ghamgeen rahaa
aaj phir dard kii shiddat ne mujhe toR diyaa
aaj phir shabnamii aankhoN ne tirii raah takii
mere anfaas meiN ab tak tirii Khushboo hai nihaaN
mere seene meiN abhi tak tiri dhaRkan hai javaaN
mere jazbaat ke sho'oloN meiN haraarat hai tirii
vuhii vahshat, vuhii ulfat, vuhii chaahat hai tirii
mere ash'aar ki duniyaa hai tujhii se mansoob
meri nazmoN meiN chhupaa Gham bhi faqat teraa hai
tuu abhii tak hai mirii rooh kii pahnaaii meiN
mere ehsaas meiN, takh'eel kii raanaaii meiN

aaj phir dil ne kaii baar sawaalaat kiye
aaj phir maiN ne kaii baar ise samjhaayaa
"jiski ulfat pe tujhe itnaa yaqeeN thaa, naadaaN!
vo kisii khwaab meiN khoyii huii hogii shaayad
vo kahiiN chain se soyii huii hogii shaayad!"
=======
aap sab ki aara ka muntazar,
Amit Malhotra 'tanhaa'