Discussion:
bahut be-aabru ho kar tere kuche se ham nikale...
(too old to reply)
m***@gmail.com
2012-11-28 08:06:48 UTC
Permalink
Roz-marrah ki zindagi mein kai baar apni baat ko jaam'e andaaz se kehne
ke liye ham ashaar ya misron ka istmaal karte hain, Yeh ashaar aur
misre
zarb-ul-misal ki haistat ikhtiyaar kar gaye hain. Magar in mein se
beshtar misre
aise hain jin ka doosra misra hamen maalon nahi hota, ya shaa'ir ka
naam nahi pata
hota. Aise hi kuch ashaar ko Faizaan Arif ne ikhatta kiya hai.
-----
tabassum
===============================================================
Nikalna Khuld se aadam ka sunte aaye the lekin
"bahut be-aabru ho kar tere kuche se ham nikale" (Ghalib)
**********
Bahut ji Khush hua Haali se milkar
"abhi kuch log baaqi hain jahaaN mein" (Haali)
**********
Akhir gil apni sarf-e-maikada hui
"pahuNchi waheen pe jahaaN ka Khameer tha" (Jahandar
Shah)
**********
Sun to sahi jahaaN mein hai tera fasaana kya
"kehati hai tujh ko Khal'q-e-Khuda Ghaa'abaana kya" (Haidar
Ali Aatish)
**********
Agar baKhashe zah-e-qismat,na bakhashe to shikaayat kya
"sar-r-tasleem Kham hai jo mizaaj-e-yaar mein aaye" (Nawab
Asghar Ali)
**********
Vas'l ka din aur itna muKh'tasar
"din gine jaate the is din ke liye" (Akbar
Ilaahbadi)
**********
Ab udaas phirte ho sardiyoN ki shaamoN mein
"is tarha to hota hai is tarha ke kaamoN mein" (Shoaib
bin Aziz)
**********
Ham taalib-e-shohrat haiN hameN naNg se kya kaam
"badnaam agar hoNge to kya naam na hoga" (Shefta)
**********
Dil ke aaine main hai tasveer-e-yaar
"jab zara gardan jhukai dekh li" (Munshi
Maji Raam)
**********
Aqal aaraai-o-tadbeer se kya hota hai
"wohi hota hai jo manzoor-e-khuda hota hai" (Irshaad
Lucknavi)
**********
"Bahut shor sunte the pehlu mein dil ka"
jo cheera to ek qatra-e-KhuN na nikala (Aatish)
**********
"Yaad-e-maazi azaab hai yaa rab"
cheen le mujhe se haafiza mera (Akhtar
Ansaari)
**********
Chala jaata hun haNsta khelta mauj-e-havaadis mein
"agar aasaaniyaaN hoN to zindagi dushwaar ho jaaye" (Asghar
Govandi)
**********
"Ham aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam"
woh qatal bhi karte hain to charcha nahi hota (Akbar
Ilahbadi)
**********
Zameen-e-chaman gul khilaati hai kya kya
"badalta hai raNg aasmaaN kaise kaise" (Aatish)
**********
"Hazarat-e-Daagh jahaaN baiTh gaye baiTh gaye"
aur hoNge teri mehafil se ubharne wale (Daagh)
**********
Qareeb hai yaaro roz-e-mehshar, chupega kushton ka khooN kyunkar
"jo chup rahegi zaban-e-khanjar, lahu pukaarega aasteeN ka"
********** (Ameer
Meenai)
Shikast-o-Fateh miyaaN ittefaaq ki baat hai
"muqaabla to dil-e-naatvaaN ne khoob kiya" (Mohammed
Yarkhan Ameer)
**********
"Umar guzri hai is dasht ki sayyahi mein"
paanchvi pusht hai shabbeer ki maddahi mein (Meer
Anees)
**********
Dil ke phaphole jal uThe seene ke daaGh se
"is ghar ko aag lag gaye ghar ke chiraaGh se" (Pandit
Mehtaab Rai TabaN)
**********
BhaaNp hi lenge ishaara sar-e-mehafi jo kiya
"taDne vale qyaamat ki nazar rakhte hain" (Johar
Farukh Aabadi)
**********
Khirad ka naam junuN paD gaya, junuN ka Khirad
"jo chaahe aap ka husn-e-karishma saaz kare" (Hasrat
Mohani)
**********
Phool to do din bahar-e-jaaN fiza dikhla gaye
"hasrat un GhunchoN pe hai jo bin khile murjh gaye" (Zauq)
**********
Khat unka bahut khoob, ibaarat bahit achchi
"allah kare zor-e-qalam aur zyaada" (Daagh)
**********
TaNg dasti agar na ho Saalik
"tandrusti hazaar n'aimat hai" (Mitza
Qurban Baig Saalik)
**********
Itni na baDha paaki-e-daamaaN ki hikaayat
"daaman ko zara dekh zara band qaba dekh" (Shefta)
**********
Aap hi apni adaaoN pe zara Ghor kareN
"ham agar arz kareNge to shikayat hogi" (Meer
Vazeer Ali Saba)
**********
Ghazal us ne cheDi mujhe saaz dena
"zara umar-e-rafta ko aawaaz dena" (Safi
Lukhnavi)
**********
Gham-e-hasti ka Asad kis se ho juz marg-e-ilaaj
"shama har raNg mein jalti sehar hone tak" (Ghaalib)
**********
Nairangi-e-siyaasat-e-dauraaN to dekhiye
"manzil unhe mili jo shareek safar na the" (Mohsin
Bhopaali)
**********
Eid ka din hai, gale aaj to mil le zaalim
"rasm-e-duniya bhi hai, mauqa bhi hai dastoor bhi hai"
********** (Qamar
Badayuni)
"Qismat ki khoobi dekhiye tooti kahaaN kamand
do chaar haath jab keh lab-e-bam reh gaya" (Qaayam
Chaandpuri)
**********
Adaa-e-Khaas se Ghalib hua hai nukta sara
"Salaa-e-aam hai yaaraan-e-nukta daan ke liye" (Ghalib)
**********
"Hai kavaakib kuch nazar aate hain kuch"
dete hain dhoka yeh baazigar khula (Ghalib)
**********
Achchi surat bhi kya buri shai hai
jis ne Daali buri nazar Daali (Kaif)
**********
Main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar
log saath aate gaye aur kaarvaaN banta gaya (Majrooh)
**********
Uljha hain paaoN yaar ka zulf-e-daraaz mein
"to aap apne daam mein sayaad aa gaya" (Momin)
**********
"Vujud-e-zan se hai tasveer-e-kaayenaat mein rang"
usi ke saaz se hai zindagi ka soz daruN (Allama
Iqbal)
**********
Phirte hain Meer Khuwaar koi poochta nahi
"Is aashiqui mein izzat-e-saadat bhi gaye" (Meer)
**********
Laye us but ko ilteja karke
"kuf'r toota Khuda Khuda karke" (Pandit
Dayashankar Naseem)
**********
RaNj se Khu-gar ho insaaN to miT jaata hai raNj
"mushkileN mujh per paDeen itni keh aasaaN ho gayeeN" (Ghalib)
**********
Yeh ajeeb maajra hai keh b'roz-e-eid-equrbaaN
"vohi zib'ha kare vohi le sawaab ulTa" (Mushafi)
**********
Baja kahe jise aalam use baja samho
"zabaan-e-Khalq ko naqqaara-e-Khuda samjho (Zauq)
**********
Vaaye naadaani keh waqt-e-marg se saabit hua
"khvaab tha jo kuch dekha jo suna afsaana tha" (Meer Dard)
**********
BaiTh jaata huN jahaaN chaaoN ghani hoti hai
"haaye kya cheez Ghareeb-ul-vatani hoti hai" (Hafeez
Jaunpuri)
**********
Laga raha hun mazaameeN-e-nau ke phir aNbaar
"khabar karo m're Khurma ke Khosha cheenoN ko" (Meer
Anees)
**********
Khyaal-e-khaatir-e-ehbaab chaahiye har dam
"Anees THes na lag jaaye in aab-geenoN ko" (Meer
Anees)
**********
Qatl-e-Husain asl mein marg-e-Yazeed hai
"Islam zinda hota hai har karbala ke baad" (Maulana
Johar)
Zamaana baDe shauq se sun raha tha
"hameeN so gaye daastaaN kehte kehte" (Saaqib
Lukhnavi)
**********
Girte hain sheh-sawaar hi maidaan-e-jaNg mein
"woh tifl kya gire ga jo ghuTnoN ke bal chale" (Azeem
Dehlavi)
**********
Aie Khaal-e-yaar tujhe Theek banaata
"jaa choD diya haafiz-e-quraaN samajh kar" (Shah
Naseeruddin Naseer)
**********
Suni hikaayat-e-hasto to darmiyaan se suni
"Na ibteda ki khabar hai na inteha maaloom" (Shaad)
**********
Gaye dono jahaan ke kaam se ham, na idhar ke rahe na udhar ke
rahe
"na Khuda hi mila na visaal-e-sanam, na idhar ke rahe na udhar
ke rahe
********** (Mirza
Saadiq Sharar)
HazaaroN khuwaahishen aisi keh har khuwaahish pe dam nikale
bahut nikale m're armaan lekin phir bhi kam nikale (Ghalib)
**********
Daavar-e-Mehshar m'ra naama-e-a'amal na dekh
"is mein kuch parda nasheenoN ke bhi naam aate hain" (Taseer)
**********
Aie Zauq duKhatar-r-raz ko na muNh laga
"chuTti nahi hai muNh se yeh kaafir lagi hui" (Zauq)
**********
BaaGhbaan ne aag di jab ashiyaane ko mere
"jin pe tha takiya vohi patte hawa dene lage" (Saaqib
Luckhnavi)
**********
"hue naamvar be-nishaaN kaise kaise
zameeN khaa gaye aasmaaN kaise kaise" (Ameer
Meenai)
**********
Lao to qatl-naama m'ra main bhi dekh lun
kis kis mohar hai sar-e-mehzar lagi hui (Meer
Mehboob Asif)
**********
Apna zamaana aap banate hain ahal-e-dil
"ham woh nahi haiN jin ko zamaana bana gaya" (Jigar)
**********
Ham rone pe aa jaayeN to darya hi baha deN
"shabnam ki tarha se hameN rona nahi aata" (Zauq)
**********
"Aa andaleeb mil ke kareN aaH-w-zaariyaaN"
tu haaye gul pukaar main chillaauN haaye dil (Sayeed
Mohd Khan Rind)
**********
Nigah barq nahi chehra aaftaab nahi
"woh aadmi hai magar dekhne ki taab nahi" (Jaleen
Manikpuri)
**********
Na cheD aie nikhat-e-baad-e-bahaari, raaH lag apni
tujhe aThkheliyaaN sujhi haiN ham bezaar baiThe hain (Inshaa)
**********
Raah pe unko laga laaye to hain baatoN mein
aur khul jaayeNge do chaar mulaaqaatoN mein (Daagh)
**********
Kehte haiN aaj Zauq jahaaN se guzar gaya
'kya khoob aadami tha khuda maghfirat kare" (Zauq)
**********
Zindagi zinda-dili ka naam hai
murda dil kya Khaak jiya karte haiN (Meer Dard)
**********
Jaan di, di hui usi ki thi
haqu to yeh hain keh haqu ada na hua (Ghalib)
**********
----------------
Can be seen at
www.freeyellow.com/members2/tah/zarb.html
Sent via Deja.com http://www.deja.com/
Share what you know. Learn what you don't.
Like it
w***@gmail.com
2014-03-24 19:27:23 UTC

pehla misra uoon hai.....Akhir gil apni sarf-e-dar-e-maikada hui

jaleel mank puri

v***@gmail.com
2014-03-24 21:13:43 UTC
Permalink
On Monday, 24 March 2014 19:27:23 UTC, ***@gmail.com wrote:
**********
Post by w***@gmail.com
pehla misra uoon hai.....Akhir gil apni sarf-e-dar-e-maikada hui
In that case the second misra should be something like:

(aaKhir gil apni sarf-e-dar-e-maikadah huuii)
pohaNchii *usii jagah* pe jahaaN ka Khamiir thaa!

Vijay
v
2014-03-25 01:13:18 UTC
Permalink
wasn't the second line

pahunchii wahii.n pe Khaak jahaa.n kaa Khamiir thaa

?
v***@gmail.com
2014-03-25 09:07:44 UTC
Permalink
Post by v
wasn't the second line
pahunchii wahii.n pe Khaak jahaa.n kaa Khamiir thaa
?
I am not overly familiar with this she'r Ravi sahib, but the misra you posted is in meter and more likely to be the correct one. I had merely looked at the she'r as it was posted and tried to 'best guess' the words to bring it 'in meter'.

Thanks,

Vijay
b***@yahoo.com
2014-03-25 12:49:39 UTC
Permalink
On Tuesday, 25 March 2014 01:13:18 UTC, v wrote: > wasn't the second line > > > > pahunchii wahii.n pe Khaak jahaa.n kaa Khamiir thaa > > > > ? I am not overly familiar with this she'r Ravi sahib, but the misra you posted is in meter and more likely to be the correct one. I had merely looked at the she'r as it was posted and tried to 'best guess' the words to bring it 'in meter'. Thanks, Vijay
-------------------------------------------------------------------------------
KuChh isii matlab kaa yeh She`r bhi dekhiye,

"dafn karnaa miri mayyat ko bhi mai-Khaane meN
taa kih mai-Khaane ki miTTii rahe mai-Khaane meN !"

=======================================================
n***@gmail.com
2018-02-14 14:13:09 UTC
Permalink
Can you kindly provide the meaning of this she’r: aakhir gila apni sarf-e-dad-e-maikada huii....
Anil Kala
2014-03-25 15:53:05 UTC
Permalink
Post by v***@gmail.com
(aaKhir gil apni sarf-e-dar-e-maikadah huuii)
kyaa iska maane ye banata hai?

'meri mitti (after I die I become dust) maikhaane ke darwaaze meN tabdiil ho gayii'
r***@gmail.com
2015-04-16 14:28:17 UTC
Permalink
Roz-marrah ki zindagi mein kai baar apni baat ko jaam'e andaaz se kehne
ke liye ham ashaar ya misron ka istmaal karte hain, Yeh ashaar aur
misre
zarb-ul-misal ki haistat ikhtiyaar kar gaye hain. Magar in mein se
beshtar misre
aise hain jin ka doosra misra hamen maalon nahi hota, ya shaa'ir ka
naam nahi pata
hota. Aise hi kuch ashaar ko Faizaan Arif ne ikhatta kiya hai.
-----
tabassum
===============================================================
Nikalna Khuld se aadam ka sunte aaye the lekin
"bahut be-aabru ho kar tere kuche se ham nikale" (Ghalib)
**********
Bahut ji Khush hua Haali se milkar
"abhi kuch log baaqi hain jahaaN mein" (Haali)
**********
Akhir gil apni sarf-e-maikada hui
"pahuNchi waheen pe jahaaN ka Khameer tha" (Jahandar
Shah)
**********
Sun to sahi jahaaN mein hai tera fasaana kya
"kehati hai tujh ko Khal'q-e-Khuda Ghaa'abaana kya" (Haidar
Ali Aatish)
**********
Agar baKhashe zah-e-qismat,na bakhashe to shikaayat kya
"sar-r-tasleem Kham hai jo mizaaj-e-yaar mein aaye" (Nawab
Asghar Ali)
**********
Vas'l ka din aur itna muKh'tasar
"din gine jaate the is din ke liye" (Akbar
Ilaahbadi)
**********
Ab udaas phirte ho sardiyoN ki shaamoN mein
"is tarha to hota hai is tarha ke kaamoN mein" (Shoaib
bin Aziz)
**********
Ham taalib-e-shohrat haiN hameN naNg se kya kaam
"badnaam agar hoNge to kya naam na hoga" (Shefta)
**********
Dil ke aaine main hai tasveer-e-yaar
"jab zara gardan jhukai dekh li" (Munshi
Maji Raam)
**********
Aqal aaraai-o-tadbeer se kya hota hai
"wohi hota hai jo manzoor-e-khuda hota hai" (Irshaad
Lucknavi)
**********
"Bahut shor sunte the pehlu mein dil ka"
jo cheera to ek qatra-e-KhuN na nikala (Aatish)
**********
"Yaad-e-maazi azaab hai yaa rab"
cheen le mujhe se haafiza mera (Akhtar
Ansaari)
**********
Chala jaata hun haNsta khelta mauj-e-havaadis mein
"agar aasaaniyaaN hoN to zindagi dushwaar ho jaaye" (Asghar
Govandi)
**********
"Ham aah bhi karte hain to ho jaate hain badnaam"
woh qatal bhi karte hain to charcha nahi hota (Akbar
Ilahbadi)
**********
Zameen-e-chaman gul khilaati hai kya kya
"badalta hai raNg aasmaaN kaise kaise" (Aatish)
**********
"Hazarat-e-Daagh jahaaN baiTh gaye baiTh gaye"
aur hoNge teri mehafil se ubharne wale (Daagh)
**********
Qareeb hai yaaro roz-e-mehshar, chupega kushton ka khooN kyunkar
"jo chup rahegi zaban-e-khanjar, lahu pukaarega aasteeN ka"
********** (Ameer
Meenai)
Shikast-o-Fateh miyaaN ittefaaq ki baat hai
"muqaabla to dil-e-naatvaaN ne khoob kiya" (Mohammed
Yarkhan Ameer)
**********
"Umar guzri hai is dasht ki sayyahi mein"
paanchvi pusht hai shabbeer ki maddahi mein (Meer
Anees)
**********
Dil ke phaphole jal uThe seene ke daaGh se
"is ghar ko aag lag gaye ghar ke chiraaGh se" (Pandit
Mehtaab Rai TabaN)
**********
BhaaNp hi lenge ishaara sar-e-mehafi jo kiya
"taDne vale qyaamat ki nazar rakhte hain" (Johar
Farukh Aabadi)
**********
Khirad ka naam junuN paD gaya, junuN ka Khirad
"jo chaahe aap ka husn-e-karishma saaz kare" (Hasrat
Mohani)
**********
Phool to do din bahar-e-jaaN fiza dikhla gaye
"hasrat un GhunchoN pe hai jo bin khile murjh gaye" (Zauq)
**********
Khat unka bahut khoob, ibaarat bahit achchi
"allah kare zor-e-qalam aur zyaada" (Daagh)
**********
TaNg dasti agar na ho Saalik
"tandrusti hazaar n'aimat hai" (Mitza
Qurban Baig Saalik)
**********
Itni na baDha paaki-e-daamaaN ki hikaayat
"daaman ko zara dekh zara band qaba dekh" (Shefta)
**********
Aap hi apni adaaoN pe zara Ghor kareN
"ham agar arz kareNge to shikayat hogi" (Meer
Vazeer Ali Saba)
**********
Ghazal us ne cheDi mujhe saaz dena
"zara umar-e-rafta ko aawaaz dena" (Safi
Lukhnavi)
**********
Gham-e-hasti ka Asad kis se ho juz marg-e-ilaaj
"shama har raNg mein jalti sehar hone tak" (Ghaalib)
**********
Nairangi-e-siyaasat-e-dauraaN to dekhiye
"manzil unhe mili jo shareek safar na the" (Mohsin
Bhopaali)
**********
Eid ka din hai, gale aaj to mil le zaalim
"rasm-e-duniya bhi hai, mauqa bhi hai dastoor bhi hai"
********** (Qamar
Badayuni)
"Qismat ki khoobi dekhiye tooti kahaaN kamand
do chaar haath jab keh lab-e-bam reh gaya" (Qaayam
Chaandpuri)
**********
Adaa-e-Khaas se Ghalib hua hai nukta sara
"Salaa-e-aam hai yaaraan-e-nukta daan ke liye" (Ghalib)
**********
"Hai kavaakib kuch nazar aate hain kuch"
dete hain dhoka yeh baazigar khula (Ghalib)
**********
Achchi surat bhi kya buri shai hai
jis ne Daali buri nazar Daali (Kaif)
**********
Main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar
log saath aate gaye aur kaarvaaN banta gaya (Majrooh)
**********
Uljha hain paaoN yaar ka zulf-e-daraaz mein
"to aap apne daam mein sayaad aa gaya" (Momin)
**********
"Vujud-e-zan se hai tasveer-e-kaayenaat mein rang"
usi ke saaz se hai zindagi ka soz daruN (Allama
Iqbal)
**********
Phirte hain Meer Khuwaar koi poochta nahi
"Is aashiqui mein izzat-e-saadat bhi gaye" (Meer)
**********
Laye us but ko ilteja karke
"kuf'r toota Khuda Khuda karke" (Pandit
Dayashankar Naseem)
**********
RaNj se Khu-gar ho insaaN to miT jaata hai raNj
"mushkileN mujh per paDeen itni keh aasaaN ho gayeeN" (Ghalib)
**********
Yeh ajeeb maajra hai keh b'roz-e-eid-equrbaaN
"vohi zib'ha kare vohi le sawaab ulTa" (Mushafi)
**********
Baja kahe jise aalam use baja samho
"zabaan-e-Khalq ko naqqaara-e-Khuda samjho (Zauq)
**********
Vaaye naadaani keh waqt-e-marg se saabit hua
"khvaab tha jo kuch dekha jo suna afsaana tha" (Meer Dard)
**********
BaiTh jaata huN jahaaN chaaoN ghani hoti hai
"haaye kya cheez Ghareeb-ul-vatani hoti hai" (Hafeez
Jaunpuri)
**********
Laga raha hun mazaameeN-e-nau ke phir aNbaar
"khabar karo m're Khurma ke Khosha cheenoN ko" (Meer
Anees)
**********
Khyaal-e-khaatir-e-ehbaab chaahiye har dam
"Anees THes na lag jaaye in aab-geenoN ko" (Meer
Anees)
**********
Qatl-e-Husain asl mein marg-e-Yazeed hai
"Islam zinda hota hai har karbala ke baad" (Maulana
Johar)
Zamaana baDe shauq se sun raha tha
"hameeN so gaye daastaaN kehte kehte" (Saaqib
Lukhnavi)
**********
Girte hain sheh-sawaar hi maidaan-e-jaNg mein
"woh tifl kya gire ga jo ghuTnoN ke bal chale" (Azeem
Dehlavi)
**********
Aie Khaal-e-yaar tujhe Theek banaata
"jaa choD diya haafiz-e-quraaN samajh kar" (Shah
Naseeruddin Naseer)
**********
Suni hikaayat-e-hasto to darmiyaan se suni
"Na ibteda ki khabar hai na inteha maaloom" (Shaad)
**********
Gaye dono jahaan ke kaam se ham, na idhar ke rahe na udhar ke
rahe
"na Khuda hi mila na visaal-e-sanam, na idhar ke rahe na udhar
ke rahe
********** (Mirza
Saadiq Sharar)
HazaaroN khuwaahishen aisi keh har khuwaahish pe dam nikale
bahut nikale m're armaan lekin phir bhi kam nikale (Ghalib)
**********
Daavar-e-Mehshar m'ra naama-e-a'amal na dekh
"is mein kuch parda nasheenoN ke bhi naam aate hain" (Taseer)
**********
Aie Zauq duKhatar-r-raz ko na muNh laga
"chuTti nahi hai muNh se yeh kaafir lagi hui" (Zauq)
**********
BaaGhbaan ne aag di jab ashiyaane ko mere
"jin pe tha takiya vohi patte hawa dene lage" (Saaqib
Luckhnavi)
**********
"hue naamvar be-nishaaN kaise kaise
zameeN khaa gaye aasmaaN kaise kaise" (Ameer
Meenai)
**********
Lao to qatl-naama m'ra main bhi dekh lun
kis kis mohar hai sar-e-mehzar lagi hui (Meer
Mehboob Asif)
**********
Apna zamaana aap banate hain ahal-e-dil
"ham woh nahi haiN jin ko zamaana bana gaya" (Jigar)
**********
Ham rone pe aa jaayeN to darya hi baha deN
"shabnam ki tarha se hameN rona nahi aata" (Zauq)
**********
"Aa andaleeb mil ke kareN aaH-w-zaariyaaN"
tu haaye gul pukaar main chillaauN haaye dil (Sayeed
Mohd Khan Rind)
**********
Nigah barq nahi chehra aaftaab nahi
"woh aadmi hai magar dekhne ki taab nahi" (Jaleen
Manikpuri)
**********
Na cheD aie nikhat-e-baad-e-bahaari, raaH lag apni
tujhe aThkheliyaaN sujhi haiN ham bezaar baiThe hain (Inshaa)
**********
Raah pe unko laga laaye to hain baatoN mein
aur khul jaayeNge do chaar mulaaqaatoN mein (Daagh)
**********
Kehte haiN aaj Zauq jahaaN se guzar gaya
'kya khoob aadami tha khuda maghfirat kare" (Zauq)
**********
Zindagi zinda-dili ka naam hai
murda dil kya Khaak jiya karte haiN (Meer Dard)
**********
Jaan di, di hui usi ki thi
haqu to yeh hain keh haqu ada na hua (Ghalib)
**********
----------------
Can be seen at
www.freeyellow.com/members2/tah/zarb.html
Sent via Deja.com http://www.deja.com/
Share what you know. Learn what you don't.
=================================================
Weldone. Here is another such Shair

Kadam gin gin k rakhty han, kamar baal kha he jaati ha......
Khuda jb husn daita ha, nazakat aa he jaati ha..........

Regards
h***@gmail.com
2015-06-16 12:46:06 UTC
Permalink
Ham khud tarashte hain Manazil K sange meel
Ham wo nahin hain jin ko zamana bana gaya..
a***@gmail.com
2020-02-13 07:24:18 UTC

kar ke barbaad zindagi, ishq ki maza chakh li,
usne bhi burka pahan liya, maine bhi dadhi rakh li
(azad)
----------------
Can be seen at
www.freeyellow.com/members2/tah/zarb.html
Sent via Deja.com http://www.deja.com/
Share what you know. Learn what you don't.
Naseer
2020-02-15 04:17:16 UTC
Permalink
Azad SaaHib aadaab.

aap ne daaRhii to rakh lii magar 3ishq kaa mazah kisii aur ne chakh liyaa!

Naseer
B.G. M.
2020-02-20 02:35:27 UTC
Permalink
maiN ne is “tukbandi” ko kuChh yuuN sun rakhaa thaa..

“zindagii barbaad kar lee, ‘ishq ki talKhee chakh lee
us ne burqaa pehan liyaa, maiN ne bhi daaRhii rakh lee!”

( lafz -mazaa- muzakkar hai jaise mazaa aa gayaa, mazaa milaa, waGhairah)
Naseer
2020-02-20 08:10:56 UTC
Permalink
lekin BGM SaaHib, lafz mazah hai, nah kih mazaa.

Naseer
Afzal A. Khan
2020-02-20 19:45:48 UTC
Permalink
Post by Naseer
lekin BGM SaaHib, lafz mazah hai, nah kih mazaa.
Naseer
"maze" ki baat yeh hai k agar is lafz ko Roman Urdu men likha
jaaye to B.G.M. Saheb ki 'spelling' durust qaraar di ja sakti hai !

Afzal
Naseer
2020-02-27 05:24:57 UTC
Permalink
محترم افضال صاحب تسلیمات۔۔

مزہ کو مزا خواہ اردو رسم الخط میں خواہ رومن میں
لکھیں، بد مزگی ضرور پیدا ہو جاتی ہے ماسوائے جب قافیہ کی پابندی کا خیال رکھنا ہو۔

عشق سے طبیعت نے زیست کا مزا پایا
درد کی دوا پائی درد بے دوا پایا

یہاں بی جی ایم صاحب کی تحریر نثر میں تھی نہ کہ شعر میں۔
من بشما دو تا پست برقی فرستادہ ام ولے تا اکنوں پیچ پاسخ نرسید۔

دعا گ�
B.G. M.
2020-02-27 17:41:31 UTC
Permalink
Naseer saahab, aadaab!
Faarisii kaa jo jumlaa aap ne uupar likhaa hai
( Afzaal Khan saahab ke javaab meN) is kaa urdu yaa angrezi tarjumaa bhi agar bataa deN to ham jaise bhi us kaa lutf uThaa sakeN!
Aap se yeh guzaarish hai..
====================
Naseer
2020-02-28 06:28:24 UTC
Permalink
BGM SaaHib, vuh paiGhaam faqat maktuub ilaih ke liye hai. yih alag baat hai kih hech kii bajaa'e pech nazar aa rahaa hai!:-)

Naseer
Afzal A. Khan
2020-02-29 23:31:43 UTC
Permalink
Post by Naseer
محترم افضال صاحب تسلیمات۔۔
مزہ کو مزا خواہ اردو رسم الخط میں خواہ رومن میں
لکھیں، بد مزگی ضرور پیدا ہو جاتی ہے ماسوائے جب قافیہ کی پابندی کا خیال رکھنا ہو۔
عشق سے طبیعت نے زیست کا مزا پایا
درد کی دوا پائی درد بے دوا پایا
یہاں بی جی ایم صاحب کی تحریر نثر میں تھی نہ کہ شعر میں۔
من بشما دو تا پست برقی فرستادہ ام ولے تا اکنوں پیچ پاسخ نرسید۔
دعا گو نصیر
Mukarramee,

Without wishing to prolong the discussion, I just don't know
how the word in question can be written in Roman with a "chhoti
he". "Mazah" looks rather odd, to my way of thinking.

You have justified the spelling with an alif only with reference
to the demand of qaafiya. Also, you have quoted a sher of Mirza
Ghalib in this connection.

Here is another sher, by Mirza Sauda, where the word occurs in
the middle of the misra' (not as qaafiya) :

TooTe tiri nigah se agar dil habaab ka
Paani bhi phir piyeN to maza de sharaab ka

In different print sources, I have seen this sher by Mirza Sauda
spelt in both forms ---> with "chhoTi he" and also with 'alif'.

The regular oral talaffuz of the word, as pronounced and heard in
regular "bol~chaal", does sound more like with an alif.

Platts also gives the Roman version of the word (along with
its various derivatives) as "maza".

Afzal
B.G. M.
2020-03-01 02:57:36 UTC
Permalink
Post by Afzal A. Khan

May I now expect the translation of Naseer saahab’s Faarisi jumlaa?..
Naseer
2020-03-01 11:38:07 UTC
Permalink
BGM SaaHib, with all due respect, please refer to my post dated 28/02/20.

Naseer
B.G. M.
2020-03-01 17:05:01 UTC
Permalink
Janaab-e-Naseer saahab, aadaab va salaam-e-eHteraam!

Aap kaa javaab (2/28) paRhne ke b’aad hi, jab Afzaal saahab MoHtaram ki javaabi post paRhne ke b’aad hi, maiN ne yeh guzaarish ( May I NOW expect...) dubaarah kee hai.

(Yeh alag baat kih woh jumlaa samajhnaa mire taqdeer meN nahiiN)😉🤔😔

=============B G===========🙏
Afzal A. Khan
2020-03-03 18:17:18 UTC
Permalink
Post by B.G. M.
Janaab-e-Naseer saahab, aadaab va salaam-e-eHteraam!
Aap kaa javaab (2/28) paRhne ke b’aad hi, jab Afzaal saahab MoHtaram ki javaabi post paRhne ke b’aad hi, maiN ne yeh guzaarish ( May I NOW expect...) dubaarah kee hai.
(Yeh alag baat kih woh jumlaa samajhnaa mire taqdeer meN nahiiN)😉🤔😔
=============B G===========🙏
B. G. M. Saheb,

That Faarsi sher is a sort of secret code for conveying a
private message from the sender (Naseer Saheb) to the
addressee (Yours Truly). So, even if the sher's meaning was
explained to you, you may still be clueless about the whole
issue.

As you are aware, the earlier modes of communication are no
longer available to Naseer Saheb where he is staying at the
moment, so he has to resort to these unorthodox methods.

Hopefully, this may clear your confusion.......

Afzal
B.G. M.
2020-03-03 20:40:19 UTC

Zahe naseeb! 🙏

Loading...