Naseer
2011-05-29 16:08:43 UTC
Dear All,
As promised recently, here is a nazm by Safii Lakhnavii. I hope you
will enjoy and appreciate it.
apne muNh se kah rahii hai saaf Urdu kii zabaaN
maulid-o-maavaa hai meraa kishvar-i-HindustaaN
is ke af'aal-o-ravaabit de rahe haiN Khud nishaaN
kis tarH paidaa hu'ii kyuuNkar baRhii pal kar yahaaN
roz-afzuuN Husn kaa har daur ik sayyaarah hai
hai dabistaaN Lakhnau, Dillii agar gahvaarah hai
muddatoN sarkaar-i-Dihlii meN rahii yih baar-yaab
ab tak Urdu-i-Mu'allaa hai vahii shaahii Khitaab
daur-daurah Lakhnau meN bhii thaa qabl az inqilaab
kar liyaa thaa nuktah-sanjoN ne isii ko intiKhaab
har adaa shiiriiM mazaaq-i-paarsaa-o-rind meN
is kaa tuutii boltaa thaa sabzah-zaar-i-Hind meN
tajribe kii aaNkh se dekhaa jo is ko honhaar
Company ne kar liyaa ise shariik-i-kaar-o-baar
daftaroN meN maHkamoN meN baRh gayaa 'izz-o-vaqaar
jam gayaa chalte hu'e sikkoN pih naqsh-i-i'tibaar
jab Queen Victoria kii yih sahelii ho ga'ii
har zabaaN dunyaa meN is kii phir to chelii ho ga'ii
Farsi Hindii kii aamezish se hai is kaa vujuud
yaadgaar-i-ittiHaad-i-ahl-i-Islam-o-Hunuud
dhuup-chhaaN ke rang kii hai vuh qabaa-i-hast-o-buud
kaargaah-i-Hind se mansuub jis ke taar-o-puud
sift-o-saNgiiN yaa libaas-i-'aariyyat baariik hai
jaamah-zebii se qadd-i-mauzuuN par is ke Thiik hai
thii mah-i-nau raftah-raftah maah-i-kaamil ban ga'ii
shaa'iraanah maHfiloN meN sham'-i-maHfil ban ga'ii
Husn-i-fitrat kii adaa-fahmii ke qaabil ban ga'ii
jab zabaaN kii tez nishtar ne rag-i-dil ban ga'ii
kyaa qiyaamat hai kih dil par kuchh asar lete nahiiN
ho rahaa hai Khuun is kaa tum Khabar lete nahiiN
kheNch do uTh kar qavaa'id se Hisaar-i-'aafiyyat
mil ke sab taiyyaar kar do jaami'-o-maani' luGhat
dekhte ho aa'e din jo ho rahii hai is kii gat
ik 'imaarat hai havaa par ho mu'allaq jis kii chhat
is taraH 'ilmii sutuunoN par ise qaa'im karo
zalzalah kaisaa hii aa'e magar junbish nah ho
har zabaaN kaa lafz khap jaa'e yih vus'at is meN hai
har luGhat ke jazb kar lene kii quvvat is meN hai
Brij Bhasha meN hai jo lazzat vuh lazzat is meN hai
saaf qand-i-Farsi kii bhii Halaavat is meN hai
raas juz shiir-o-shakkar ko'ii nahiiN is kii Khorish
do zabaaneN chuus kar paa'ii hai is ne parvarish
Safii Lakhnavii
.....................................................................................