Afzal A. Khan
2020-05-06 02:40:31 UTC
Haazireen,
I have always maintained that the Urdu language is not the
monopoly of any particular community. A few "enemies" of this
language, though, keep on spreading that falsehood from time to
time. But as they say, "haathi chala jaata hai aur is tarah
......... waaloN ki parwa naheeN karta."
In the past too, I had posted the "kalaam" of several non-
Muslim poets, like Jagat Mohan Lal RawaaN etc.
Here is a ghazal written by a Sikh Gentleman by the name of
Sardar Kirpal Singh Bedaar :
Dar'yaa-e-mohabbat josh pe hai, maujoN se kinaara kya hoga
Kashti to faqat ik tin'ka hai, tin'ke ka sahaara kya hoga
Ik baar shikaayat karne par, sau baar qayaamat TooTi hai
Bedaad ka jab yeh 'aalam ho, far'yaad ka yaara kya hoga
Har dil men tapish, har lab pe fuGHaaN, har simt jalan, har simt dhuaaN
Dun'ya ke nazaare se baRh kar, dozaKH ka nazaara kya hoga
HaaN, chaara~gari laazim hi sahi, lekin yeh bataao GHam~KHwaaro
Jis dard se dil ko dil kahiye, us dard ka chaara(h) kya hoga
Ach'chha hai k saaqi riNd tire, aalaam-e-jahaaN se door raheN
In phool uRaane waaloN ka, kaaNToN men guzaara kya hoga
Ai hijr ke maaro, pi jaao, talKHi ki shikaayat kya m'ani
Jab zehr gawaara ho na saka, phir 'ishq gawaara kya hoga
Hum auj-e-falak par kya jaaeN, qismat ka sitaara kya DhooNDheN
Qismat to hamaari KHaak naheeN, qismat ka sitaara kya hoga
Bedaar, sahar ke aate hi, kuchh aur siyaahi phail gayee
AaGHaaz hamaara yeh kuchh hai, aNjaam hamaara kya hoga
Afzal