Discussion:
zinda raheN to kyaa hai jo mar jaa'yeN ham to kyaa!
(too old to reply)
Zafar
2006-12-26 22:07:10 UTC
Permalink
aah Munir Niazi!

aaj Lahore se ye andoh-naak Khabar aa'yee k Munir Niazi kaa intiqaal ho
gayaa hai.

MN maujooda daur ke umda tareen shaa'iroN meN se aik the. un ke baare
meN aik muKhtasar Urdu mazmoon aur un ke kalaam kaa namoona Khud un kee
zabaan meN yahaaN dekhaa jaa saktaa hai:

http://www.voanews.com/urdu/2006-12-26-voa3.cfm

maiN ne ALUP par Munir kee aik nazm paish kee thee, vo aaj dobaara
paish e Khidmat hai:

aaGhaaz e zamistaaN meN dubaara
-------------------------------

Ghuroob e mehr kaa manzar GhaRee huvee guzraa
bas aik pal ko niyastaaN usee tarah larzaa
giyaah e sabz kee Khushboo usee zamaane kee
usee tarah kee masarrat bahaar aane kee
vuhee jamaal e dar o saqf o baam hai, maiN hooN
kinaar e raud e siah faam e shaam hai, maiN hooN


----

Zafar
Vijay
2006-12-26 23:02:47 UTC
Permalink
May he rest in peace!!

He was a prolific and inspirational poet. The following baNd from
another of his nazams never fail to affect me deeply:

kisii ko maut se pehle kisii gham se bachaana ho
haqiiqat aur thii kucch, us ko jaake yeh bataana ho

hamesha, der kar detaa huuN maiN!

I saw him in a mushaira in Canada a few years back and he seemed quite
frail then!

Khuda baKhshe bohat sii KhuubiiaaN thiiN marne vaale meN!!



Vijay Kumar
Post by Zafar
aah Munir Niazi!
aaj Lahore se ye andoh-naak Khabar aa'yee k Munir Niazi kaa intiqaal ho
gayaa hai.
MN maujooda daur ke umda tareen shaa'iroN meN se aik the. un ke baare
meN aik muKhtasar Urdu mazmoon aur un ke kalaam kaa namoona Khud un kee
http://www.voanews.com/urdu/2006-12-26-voa3.cfm
maiN ne ALUP par Munir kee aik nazm paish kee thee, vo aaj dobaara
aaGhaaz e zamistaaN meN dubaara
-------------------------------
Ghuroob e mehr kaa manzar GhaRee huvee guzraa
bas aik pal ko niyastaaN usee tarah larzaa
giyaah e sabz kee Khushboo usee zamaane kee
usee tarah kee masarrat bahaar aane kee
vuhee jamaal e dar o saqf o baam hai, maiN hooN
kinaar e raud e siah faam e shaam hai, maiN hooN
----
Zafar
Zoya
2006-12-27 00:50:10 UTC
Permalink
aadaab dosto!

is vaqt maiN bhii yahii soch kar Alup par aayii thii k shaayad kuChh
dostoN ko is afsos naak Khabar ka abhii pata na chala ho.

Ahmed Nadeem Qasmi, aur ab Muneer Niazi ke chale jaane se Urdu
shaayarii kii duniya meiN ek bahut baRa Khala paidah ho gaya hai.

meri Muneer Niazi Sahib se koii paanch baras pehle ek tafsiilii
mulaaqaat hui thi, jab voh hamaare shehar meiN aaye the. voh hamaare
saath lunch par bhii gaye the, maiN drive kar rahii thii aur Niazi
Sahib paasanger seat par baiThhe hue the, hamaare saath Urdupoetry.com
kii Nita bhii thiiN. Niazi Sahib ne mujh se kahaa tha, "kuRiye, mere
naal Hoshiarpur vaalii Punjabi vich galaaN kar", to maiN ne kahaa,
"Niazi Sahib, maiN nuuN te Ludhiane vaali Punjabi aandii ae!" is vaqt
us mulaaqaat kii bahut sii yaadeN taazah ho gayii haiN.

Niazi Sahib ka ek Punjabi sher pesh kar rahii huuN, jo mujhe bahut
pasand hai:

kujh unj vii raahvaaN auKhiiyaaN san,
kujh gal vich ghamaaN da tauq vii sii!
kujh shehar de lok vii zaalim san,
kujh saanuuN maran da shauq vii sii!

aur Muneer Niazi Sahib kii yeh nazm bhii merii pasaNdiidah nazamoN meiN
shaamil hai:

muhabbat

sitaare jo damakte haiN
kisii kii chashm-e-hairaaN meiN,
mulaaqaateN jo hotii haiN
jamaal-e-abr-o-baaraaN meiN!

yeh na_aabaad vaqtoN meiN,
dil-e-nashaad meiN hogii !
muhabbat ab nahiiN hogii,
yeh kuChh din baad meiN hogii !!

guzar jaayeNge jab yeh din
yeh in kii yaad meiN hogii !!!

Khuda Niazi Sahib ko jannat meiN jagah de.

____________Zoya
omar khayyam
2006-12-29 11:39:00 UTC
Permalink
niazi sahab ki punjabi nazm that mentioned by zoya is marvellous..

HONEE DE HEELAY

jo hoya aih oh hona ee si
te honi rokiyaan rukdee nai
ik waari jdon shuru ho jaye
gall fer aiwain mukdee nai

kis da dosh si kis da nai si
aih gallan hun karan diyaan nai
wailay langh gaye tauba walay
raat_aan hokay bharan diyaan nai

kuj unj wi rahwaan okhiyaan san
kuj gall wich gham da tauq wi si
kuj sheher de lok wi zalam san
kujj mainu maran da shoq wi si
Naseer
2006-12-29 12:09:44 UTC
Permalink
Post by omar khayyam
niazi sahab ki punjabi nazm that mentioned by zoya is marvellous..
HONEE DE HEELAY
jo hoya aih oh hona ee si
te honi rokiyaan rukdee nai
ik waari jdon shuru ho jaye
gall fer aiwain mukdee nai
kis da dosh si kis da nai si
aih gallan hun karan diyaan nai
wailay langh gaye tauba walay
raat_aan hokay bharan diyaan nai
kuj unj wi rahwaan okhiyaan san
kuj gall wich gham da tauq wi si
kuj sheher de lok wi zalam san
kujj mainu maran da shoq wi si
mere buzurg-vaar Omar-i-Khayyam Sahib, KHush aamaded!

aaj tak to yahii sunte aae haiN kih janaab-i-vaalaa Faarsii rubaa'ii
meN yak-taa haiN lekin aaj inkishaaf huaa kih Huzuur Panjaabii awr
Urduu meN bhii ba-darjah-i-kamaal dast-ras rakhte haiN!!!! ab ham
panjaabii apnaa sar faKHr se awr bhii uuNchaa kar sakte haiN!!

Naseer

Loading...